Quotes By Akbar Taz (Alishba)
Thak gya hu teri mulazamat se ae zindagimunaasib ho to mera Hisaab karde
Na jaane kyu zindagi tut si gyi hai
uske rehte hue bhi duniya ruth si gyi hai
ek chaahat thi use paane ki
par kismat meri jo phoot si gyi hai
Na Jaane kyu sab adhoora sa lagta hai
kuch kar dikhaaye bhi to bura sa lagta hai
aae zindagi kuch koshish to kar rhi thi
phir ye tanhaai kis mukaam tak pahunchegi
Mai neend banne ko tayyar hu
tu waada to kar har raat sone ka
Ajeeb si daastaan thi uske dil me
na chodne ka zikr karti
na payaar ka izhaar
yu to musaafir baithe the uske payaar me
par ek aans ki boond thi uski yaari me
Ek rooh ki keemat ki aagaaz thi
kuch logon ki dunia ki aas thi
phisalta gaya logon ka dar unse
aaj wo chale gye to logon ki aawaaz thi
Kuch log dil me yun utar jaate hai
jaise koi apna ho
fir dard kuch aisa de jaate hai
jaise koi sapna ho
Ajeeb sa dard mila hai zindagi
jiska dawa bhi dard dene waala se hi milta hai
Maayusi ke bazaar me
aansu ke kharidaar nikle
Ho sakta hai ki mai galat hu
ho sakta hai main tere laayak nahi
ho sakta h teri khushiyon ki dher mai na ban paau
par ye bhi to ho sakta hai ye sab tere liye ek sapna ho
jo haqeekat ki pehchaan na ho rahi tujhe
Teri zubaan ki lafzein kuch is tarah si thi
mai taras sa jaata hun tere aahat ke liye
na jaane kyu ek murda parinde ki tarah
ek teri awaaz ki kashish jhalkaane ko dil karta hai
Tu maaf kar ya na kar
mai izhaar to karta rahunga
tu ishq kar ya na kar
mai deedaar to karta rahunga
Mit jaate hai auro ko mitaane waale
laash kahan roti hai
rote hai to chaahne waale
Choote Choote asmaan
bikhar sa gaya mai
yu to teri chahat ki ek khoj thi
bas thoda bigar sa gya mai
apne ishq me maine tere saare dard baat lu
bas teri ek muskuraahat se saari zillaten baat lu
tu bas jaa seene se mere
phir maut se bhi mai tere liye muhalatein maang lu
Dard ke bhi do pahelu hote hai
ek sabr ka dard
or ek chod jaane ka dard
Ye zehar bhi kitni nasheeli cheez hai
thoda hame bhi to pilaa do
thoda nashe me jhumna chaahta hu
Kuch mushkil si thi aapki baatein
naa jaane kyu aaj mera chod jaana munaasib samjha
tere ishq ke saath rehne ka khwaab dekha hai
bas tere intezaar ke saath neend ka barbaad dekha hai
Mujhe to ye sab likhna bhi nahi hai
aankhe khooli par kuch dikhta bhi nahi hai
dil ke itne tookde ho chuke hai yaar
nilaami pe daalon to bikta bhi nahi hai
0 Comments